nahin malum ab ki sal mai-khane pe kya guzra hamare tauba kar lene se paimane pe kya guzra barahman sar ko apne pitta tha dair ke aage khuda jaane teri surat se but-khane pe kya guzra mujhe zanjir kar rakkha hai un shahri ghazalon ne nahin malum mere baad virane pe kya guzra hue hain chur mere ustukhwan patthar se takra ke na puchha ye kabhi tu ne ki diwane pe kya guzra 'yaqin' kab yar mere soz-e-dil ki dad ko pahunche kahan hai shama ko parwa ki parwane pe kya guzra