shuur-e-zat thoda sa dil-e-nadan mein rakhte hain jamal-e-agahi jahl-e-khirad-afshan mein rakhte hain chaman kaisa bayaban kya simat aaegi ye duniya junun ke dam se itni wusaten daman mein rakhte hain nazar ke samne rahta hai aks-e-gardish-e-dauran hum aaina ko dil ke rauzan-e-zindan mein rakhte hain hujum-e-gham mein yaadon ke nihan-khane mahak utthe shagufe lala-zaron ke dil-e-viran mein rakhte hain hamare soz-e-dil se nur barsati hain wo aankhen hum apni shama taq-e-abru-e-jaanan mein rakhte hain hamari har nazar un ki nazar mein dub jati hai hum apna tir un ke tir ke paikan mein rakhte hain koi dastak koi aahat koi jhonka koi khushbu 'faridi' dil ko bas zinda isi arman mein rakhte hain