silsila lafzon ki saughat ka bhi tut gaya rabta khat se mulaqat ka bhi tut gaya man ki aaghosh mein ulfat ki rawani pa kar bandh thahre hue jazbaat ka bhi tut gaya ehtiram apne buzurgon ka adab chhoton ka ab chalan aisi riwayat ka bhi tut gaya raat ke mathe pe suraj ne sahar likh di hai aasra us se mulaqat ka bhi tut gaya aa gaya kaise wo ab apni ana se bahar kya hisar aaj meri zat ka bhi tut gaya aaj akhbar ki khabren bhi hain mashkuk 'faraaz' aaina surat-e-haalat ka bhi tut gaya