rah-e-hayat mein bas wo qadam badha ke chale diye lahu ke sar-e-rah jo jala ke chale gulon ko pyar kya aur gale laga ke chale chaman mein kharon se daman na hum bacha ke chale pata chala na masafat ka pa gae manzil qadam se jab bhi qadam dosto mila ke chale nahin hain waqif-e-asrar-e-lazzat-e-manzil jo rah-e-shauq se kante hata hata ke chale hazar khar hain daman ko thamne wale hamare hath se aanchal jo tum chhuda ke chale wo guzren shauq se be-khauf o be-khatar 'saghar' dikha ke rasta manzil ko hum bata ke chale