silsile nur ke main khak-nashin jaanta hun kitne suraj hain yahan zer-e-zamin jaanta hun jaan leta hun har ek chehre ke poshida nuqush tum samajhte ho ki main kuchh bhi nahin jaanta hun be-sada lamhon mein mauhum khayalon se pare dil ki aawaz ko main ain yaqin jaanta hun kin ilaqon se guzarna hai uthae hue sar aur kahan mujh ko jhukani hai jabin jaanta hun us ke hi husn ki tamhid hain sare mausam main use aaj bhi utna hi hasin jaanta hun lakh ja baithe koi unchi fasilon pe 'nabil' jis ki auqat jahan ki ho wahin jaanta hun