siyah shab ke asar se nikal rahe ho kya sitaro tum bhi mere sath chal rahe ho kya wo ja raha tha to roka nahin use tum ne wo ja chuka hai to ab hath mal rahe ho kya bujhi bujhi si ye baaten dhuan dhuan lahja kisi azab mein andar se jal rahe ho kya tumhein to aaj ki shab mera qatl karna tha kahan chale ho irada badal rahe ho kya ye kya safar hai kabhi khatm hi nahin hota 'nabil' samt-e-mukhalif mein chal rahe ho kya