sim-tan gul-rukhon ki basti hai ye badalti ruton ki basti hai kaun samjhe sukut ki baaten shahar khamoshiyon ki basti hai ye lakiren ghamon ke raste hain ye hatheli dukhon ki basti hai zindagi tak zakat thahra di ye mere raaziqon ki basti hai aasman ki tarah hai sath koi hijr bhi qurbaton ki basti hai wo talatum-shiar kya jaane jhil bhi paniyon ki basti hai aql tafriq ka tamasha hai aagahi faslon ki basti hai jism paband-e-gul sahi 'abid' dil magar wahshaton ki basti hai