na de jo dil hi duhai to koi baat nahin ye chaar din ki khudai to koi baat nahin jo mangna hai tujhe sirf ek dar se mang ye dar-ba-dar ki gadai to koi baat nahin agarche khwahish-e-manzil junun ke nakhun le khirad ki uqda-kushai to koi baat nahin maza to jab hai bujhe tishnagi-e-khar-e-alam junun-e-abla-pai to koi baat nahin khud apne dil ko bana le tu aastan-e-wafa haram ki nasiya-sai to koi baat nahin nikal gai thi mere munh se dil ki baat jo kal hui hai aaj parai to koi baat nahin mai-e-sukhan se na pighle jo aabgina-e-dil to 'fakhr' shoala-nawai to koi baat nahin