simaT rahi thi wahan raat paikar-e-jaan mein

simat rahi thi wahan raat paikar-e-jaan mein
ajib hu ka saman tha dayar-e-jaanan mein

wo tiktiki hi na thi lafz jis se bol uthe
koi sada hi na thi ab to dasht-e-imkan mein

kahan gaya wo tere sath ka talluq-e-jaan
ki sab andhere the pinhan jabin-e-taban mein

hayat-zar hui dekhte rahe hum bhi
ki koi bhi to pasheman na tha dil-o-jaan mein

main tera raaz tha tere wajud se pahle
teri to chhab bhi na thi jab dayar-e-khuban mein

maraz zarur hai aashuftagi ne jaan liya
magar ummid nahin rah gai thi darman mein

wo tai-shuda tha jise puchhne chale the 'matin'
nahin nahin mein mila kuchh na us ki han han mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close