tu mere dard ko duniya nai nai dena

tu mere dard ko duniya nai nai dena
mere khuda mujhe kuchh aur aagahi dena

jo hasraten hi meri zindagi ka hasil hain
tu hasraton ke andheron ko zindagi dena

jo tu ne apne karam se diya hai apnon ko
meri mizha ko un ashkon ki bhi nami dena

ye gham-kada to sanwarta raha hai barson se
use jo ras na aae wahi khushi dena

main tujh se kuchh bhi nahin mangta mere malik
mere qalam ko mere khun ki chashni dena

jahan se dil ko bacha kar main tujh talak laun
wahin pe sine mein neze ki ek ani dena

'matin' tera nahin hai to aur kis ka hai
bahisht dena to dozakh ki aag bhi dena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close