sina hai chaak-e-jigar para hai dil sab khun hai tis pe ye jaan-ba-lab aamada bhi mahzun hai us se aankhon ko mila ji mein rahe kyunkar tab chashm-e-eajaz-e-mizha sahar-e-nigah-e-afsun hai aah ye rasm-e-wafa howe bar-uftad kahin is sitam par bhi mera dil usi ka mamnun hai kabhu is dasht se uthta hai jo ek abr tanik gard-e-namnak pareshan shuda-e-majnun hai kyunke be-baada lab-e-ju pe chaman mein rahiye aks-e-gul aab mein taklif-e-mai-e-gul-gun hai par bhi ho na kaleje ke to phir kya bulbul misra-nala jigar-kawi hai go mauzun hai shahr kitna jo koi un mein sarishk-e-afshan ho ru-kash-e-girya-e-gham hausla-e-hamun hai khun har yak raqam shauq se tapke tha wale wo na samjha ki mere name ka kya mazmun hai 'mir' ki baat pe har waqt ye jhunjhlaya na kar sadi hai khabti hai wo shefta hai majnun hai