sitam se go ye tere kushta-e-wafa na raha rahe jahan mein to dair mein raha na raha kab us ka nam liye ghash na aa gaya mujh ko dil-e-sitam-zada kis waqt us mein ja na raha milana aankh ka har-dam fareb tha dekha phir ek dam mein wo be-did aashna na raha mue to hum pe dil par ko khub khali kar hazar shukr kaso se hamein gila na raha udhar khuli meri chhati idhar namak chhidka jarahat us ko dikhane ka ab maza na raha hua hun tang bahut koi din mein sin lijo ki ji se hath utha kar wo uth gaya na raha sitam ka us ke bahut main nazar hun mamnun jigar tamam hua khun-o-dil baja na raha agarche rah gae the ustukhwan-o-post wale lagai aisi ki tasma bhi phir laga na raha hamiyat us ke tain kahte hain jo 'mir' mein thi gaya jahan se pe teri gali main aa na raha