sina-o-dil hasraton se chha gaya bas hujum-e-yas ji ghabra gaya tujh se kuchh dekha na hum ne juz jafa par wo kya kuchh hai ki ji ko bha gaya khul nahin sakti hain ab aankhen meri ji mein ye kis ka tasawwur aa gaya main to kuchh zahir na ki thi ji ki baat par meri nazron ke dhab se pa gaya pi gai kitnon ka lohu teri yaad gham tera kitne kaleje kha gaya mit gai thi us ke ji se to jhichak 'dard' kuchh kuchh bak ke tu chaunka gaya