samajhna fahm gar kuchh hai tabii se ilahi ko shahadat ghaib ki khatir to hazir hai gawahi ko nahin mumkin ki hum se zulmat-e-imkan zail ho chhuda de aah koi kyun ke zangi se siyahi ko ajab aalam hai idhar se hamein hasti satati hai udhar se nisti aati hai daudi uzr-khwahi ko na rah jawe kahin tu zahida mahrum rahmat se gunahgaron mein samjha kariyo apni be-gunahi ko na lazim nisti us ko na hasti hi zaruri hai bayan kya kijiye ai 'dard' mumkin ki nanahi ko