sina to dhund liya muttasil apna hum ne nahin malum diya kis ko dil apna hum ne ahd kya kar ke tere dar se uthe the qismat phir dikhaya tujhe ru-e-khajil apna hum ne meri aaludgiyon se na kar ikrah ai shaikh kuchh banaya to nahin aab-o-gil apna hum ne sakht kafir ka dil afsos na sharmaya kabhi puja jun but to bahut sang-dil apna hum ne pani pahuncha sake jab tak meri chashm-e-namnak jal bujha paya dil-e-mushtail apna hum ne baad sau ranjish-e-beja ke na paya ba-ghalat na pashiman tujhe munfail apna hum ne dar gharibi na tha kuchh aur mayassar 'hasrat' ishq ki nazr kiya din o dil apna hum ne