us zulf se dil ho kar aazad bahut roya ye silsila-e-ulfat kar yaad bahut roya rahm us ko na tha hargiz har chand bahaal-e-sag us kuche mein main kar kar fariyaad bahut roya mazlumi meri aur zulm dekh us but-e-kafir ka rahm aaya sitam ke tain be-dad bahut roya dil gham se na ho khali rone se mera lekin ta ho mere rone se wo shad bahut roya is ishq ki majburi naseh pe khuli jab se kar mana-e-mohabbat ka irshad bahut roya dekhi na khuda-tarsi ek gabr o musalman se har ek se talab kar kar main dad bahut roya anjam mohabbat ka bujha tha magar us ko jab dil laga shirin se farhad bahut roya hai taza-giraftaron ki fariyaad ko kya riqqat shab nala mera sun kar sayyaad bahut roya sangin-dili us but ki main jis se kahi 'hasrat' har-chand dil us ka tha faulad bahut roya