kya kya diye fareb har ek e'tibar ne apna bana diya hai tere intizar ne kya jaane kitne ahl-e-tariqat ko aaj tak gumrah kar diya hai tere rahguzar ne kuchh un ki justuju hai na kuchh apni guftugu ye kya bana diya sitam-e-rozgar ne han ai nigah-e-garm na kar mukhtasar hayat hum ko hazar bojh abhi hain utarne uljhe hue hain gesu-e-jaanan mein aaj tak 'ali' chale the kakul-e-giti sanwarne