sine mein agar ho dil-e-bedar-e-mohabbat har sans hai paighambar-e-asrar-e-mohabbat wo bhi hue jate hain taraf-dar-e-mohabbat achchhe nazar aate nahin aasar-e-mohabbat hoshyar ho ai be-khud-o-sarshaar-e-mohabbat izhaar-e-mohabbat! are izhaar-e-mohabbat ta-der na ho dil bhi khabar-dar-e-mohabbat ek ye bhi hai andaz-e-fusun-kar-e-mohabbat tauhin-e-nigah-e-karam-e-yar kahan tak dam lene de ai lazzat-e-azar-e-mohabbat sab phunk diye khar-o-khas-e-mazhab-o-millat allah-re yak-shoala-e-rukhsar-e-mohabbat kaunain se kya ahl-e-mohabbat ko sarokar kaunain hai khud hashiya-bardar-e-mohabbat jo arsh ki rifat ko bhi us dar pe jhuka de aisa bhi koi jazba-e-sarshaar-e-mohabbat main ne inhen tarik fazaon mein bhi akasr dekhe hain baraste hue anwar-e-mohabbat naseh ko hai kyun meri mohabbat se sarokar chehre se to khulte nahin aasar-e-mohabbat main aur ye namkin-e-gham-e-ishq are tauba tu aur ye ehsas-e-giran-bar-e-mohabbat! ab arz-e-mohabbat ki 'jigar' kyun nahin jurat wo samne hain garm hai bazar-e-mohabbat