sine mein jo hai dard ka dariya nahin utra lekin meri ummid ka chehra nahin utra anjaane mein ek bar koi bhul hui thi ab tak mere ahbab ka ghussa nahin utra sarmaya-e-jaan hath se jata raha lekin is ‘ishq-e-junun-khez ka qarza nahin utra batlati hai ye naqsh-e-kaf-e-pa ki rawani main dasht-e-tamanna mein akela nahin utra koshish to mere zauq-e-tajassus ne bahut ki lekin kisi chehre se bhi chehra nahin utra kachre se uthai jo kisi tifl ne roti phir halq se mere koi luqma nahin utra