teri aankhon se main khud par ayan hone laga tha mujhe bhi apne hone ka guman hone laga tha main apni zat ka sahra jo tere pas laya mere andar bhi barish ka saman hone laga tha 'ata mujh ko hui sad-shukr thodi si udasi wagarna muft mein ji ka ziyan hone laga tha kahan jate meri aankhon se ye aansu nikal kar darida-damani ka imtihan hone laga tha sarapa gosh ho kar jo mujhe sunta tha pahron mera lahja bhi ab us par giran hone laga tha judai ki ghadi se peshtar se rang-e-mausam phir us ke ba'd har manzar dhuan hone laga tha