sine pe hath rakkhe tha aur rang zard tha

sine pe hath rakkhe tha aur rang zard tha
kal shab ko kya 'shafiq' tere dil mein dard tha

furqat mein puchhte ho mera rang zard tha
kuchh dil pe munhasir nahin rag rag mein dard tha

un se kahunga dil ko mere aap dekh len
hai jis jagah nishan yahan pahle dard tha

tadpa to thoda mil gai lazzat bahut mujhe
kal shab ko mitha mitha mere dil mein dard tha

ja kar lahad mein chain se soya mein hashr tak
taklif-e-marg se meri rag rag mein dard tha

ab shab ka lotna na tadapna na aah-e-sard
us dil ko maut aa gai jis dil mein dard tha

nawak-fagan ke sadqe mein iza se bach gae
us ja pe tir mara jahan dil mein dard tha

mar kar 'shafiq' hijr ki iza yunhi rahi
mahshar mein main utha mere pahlu mein dard tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close