maut diwane ko aai hai bayaban ke pas

maut diwane ko aai hai bayaban ke pas
hath rakkhe hue hai apna gareban ke pas

ishq rakhta hai hasinon se mujhe fikr ye hai
nam ko aql nahin hai dil-e-nadan ke pas

apne jitne hain wo begana hue usrat mein
koi milne nahin aata hai pareshan ke pas

laghari se mere marne ka use khauf hua
ruk gaya dast-e-junun mere gareban ke pas

manzil-e-ishq mein diwana tera baitha hai
panw phailae hue khar-e-mughilan ke pas

meri bhi shauq-e-asiri ki nahin had koi
qaid se chhut ke baitha dar-e-zindan ke pas

dil ne zulfon se kaha itna munasib hai khayal
aata hai koi pareshan bhi pareshan ke pas

un ki khalwat mein gaya main to inayat ye hui
wo bhi sharmae hue baithe hain mehman ke pas

apne zanu pe shab-e-wasl rakha sar mera
dil bhi khush hai ki main hun gesu-e-jaanan ke pas

qadr-andaz idhar dekh kashish itni hai
khud hi dil aayega khinch kar tere paikan ke pas

dil hasinon ne liya jaan bhi le li meri
ab to kuchh bhi na raha be-sar-o-saman ke pas

panj-tan mil gae jannat mein chalo tum bhi 'shafiq'
baaton baaton mein pahunch jaoge rizwan ke pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close