sine pe kitne dagh liye phir raha hun main zakhmon ka ek bagh liye phir raha hun main dar hai ki tirgi mein qadam dagmaga na jae ek shahr-e-be-charagh liye phir raha hun main saqi na puchh aaj ke shisha-garon ka haal tuta hua ayagh liye phir raha hun main kya jaane kis ke nam hai ye nama-e-karam milta nahin suragh liye phir raha hun main puchhe na jis ko haal na mustaqbil-e-hasin mazi ka wo dimagh liye phir raha hun main 'nayyar' ho aaise daur mein kya raushni ki baat bin tel ka charagh liye phir raha hun main