sine se lagaen tumhein arman yahi hai jine ka maza hai to meri jaan yahi hai sabr is liye achchha hai ki aainda hai ummid maut is liye behtar hai ki aasan yahi hai tu dil mein to aata hai samajh mein nahin aata bas jaan gaya main teri pahchan yahi hai gesu ke sharik aur bhi the qatl mein mere kya wajh hai is ki ki pareshan yahi hai us but ne kaha bosa-e-be-izn pa hans kar bas dekh liya aap ka iman yahi hai karte hain ba-tadrij wo zulmon mein izafa mujh par agar un ka hai kuchh ehsan yahi hai hum falsafe ko kahte hain gumrahi ka bais wo pet dikhate hain ki shaitan yahi hai