sukun-e-qalb ki daulat kahan duniya-e-fani mein bas ek ghaflat si ho jati hai aur wo bhi jawani mein teri pakiza surat kar rahi hai husn-e-zan paida magar aankhon ki masti dalti hai bad-gumani mein habab apni khudi se bas yahi kahta hua guzra tamasha tha hawa ne ek girah de di thi pani mein kamar ka kya hun 'ashiq khul gai zulf-e-daraaz un ki kamar khud pad gai hai ek bala-e-asmani mein usi surat mein dilkash khubi-e-alfaz hoti hai ki husn-e-yar ka paida kare jalwa ma'ani mein ada-e-shukr kar ke ehtiraaz aula hai ai 'akbar' hazaron aafaten shamil hain un ki mehrbani mein