sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish hathon mein nikalti kyun talwar ki gunjaish pichhde hue ganw ka shayad hai wo bashinda jo shahr mein dhunde hai isar ki gunjaish nafrat ki tassub ki yun rakkhi gain inten paida hui zehnon mein diwar ki gunjaish pakizgi ruhon ki nilam hui jab se jismon mein nikal aai bazar ki gunjaish is tarah khule dil se iqrar nahin karte rakh lijiye thodi si inkar ki gunjaish gar azm musammam ho aur jehd-e-musalsal bhi sahra mein nikal aae gulzar ki gunjaish samjhen ki na samjhen wo hum ne to 'asad' rakh di ashaar ke honton pe izhaar ki gunjaish