chahe sahra mein chahe ghar rahna zindagi se qarib-tar rahna jis ke ghar jaana mehman ban kar us ke ghar yar mukhtasar rahna chahte ho agar mile shohrat roz ki taza ek khabar rahna ye munafi hai aadamiyat ke be-khabar aur khud-nigar rahna aanch aane na pae izzat par tum guhar ho sada guhar rahna karnamon se apne ai hamdam tum amar ho to phir amar rahna ye guzarish hai tum se ai 'ibrat' umr-bhar mere ham-safar rahna