sirf baiThe hue aahen na bharo

sirf baithe hue aahen na bharo
ishrat-e-dil ke liye kuchh to karo

walwalon ko na kahin nind aa jae
sitam-e-ahl-e-sitam se na daro

hai ye qismat ki shikayat be-sud
tum mein jauhar bhi hai kuchh be-hunro

dagh hi dagh nazar aaenge
chand mein bhi tumhein ai kam-nazro

manzil-e-sabr bahut aage hai
sarhad-e-zulm se bedad-garo

apne ghar-bar se rahna hoshyar
mera ghar phunk ke shorida-saro

khun-e-dil apna baha kar 'jarrar'
rang-e-taswir mohabbat mein bharo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close