sabab-e-dard-e-jigar yaad aaya

sabab-e-dard-e-jigar yaad aaya
yani wo tir-e-nazar yaad aaya

jhilmilane lage palkon pe nujum
phir koi rashk-e-qamar yaad aaya

apni manzil ke nishan pate hi
mujh ko aaghaz-e-safar yaad aaya

dekh kar aaina kis soch mein ho
kya koi ahl-e-nazar yaad aaya

bhulne wale tadap utthega
main kisi waqt agar yaad aaya

un ki pazeb udhar gunj uthi
shor-e-zanjir idhar yaad aaya

kyon ye bikhra liye gesu tum ne
kya koi khak-basar yaad aaya

ek haalat mein basar ho na saki
sham ko waqt-e-sahar yaad aaya

hil gaya qalb-e-do-alam 'jarrar'
kaun karta hua fariyaad aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close