sirf ek larzish hai nok-e-khar par shabnam ki bund phir bhi is fursat par us ki mujh ko rashk aa jae hai meri tanhai na puchho jaise koi naqsh-e-pa dur sahra ke kisi goshe mein paya jae hai sang kya hai bas sarapa intizar-e-but-tarash zindagi ka khwab logo yun bhi dekha jae hai shab ka wo pichhla pahar aur phiki phiki chandni raat bas kar jaise koi haar kumhla jae hai raat ki tanhaiyan aur un ki aamad ka khayal chand jaise ruh ke andar se guzra jae hai is sahi qad ka khiram-e-naz wo fitna hai jo har qadam par ek nae sanche mein dhalta jae hai ab ye haal-e-dil hai jaise rakh ke kanton par 'niyaz' reshmi chadar ko bedardi se khincha jae hai