shakhsiyat us ne chamak-dar bana rakkhi hai zehniyat kya kahen bimar bana rakkhi hai is qadar bhid ki dushwar hai chalna sab ka aur ek wo hai ki raftar bana rakkhi hai ek mushkil ho to aasan bana li jae us ne to zindagi dushwar bana rakkhi hai pas aa jata hai main dur chala jaun to us ne duri bhi lagatar bana rakkhi hai zehn aur dil mein jo an-ban hai wo an-ban na rahe is liye darmiyan diwar bana rakkhi hai shakhs kaisa hai wo kya hai nahin malum hamein shahr mein us ne magar dhaar bana rakkhi hai