khazana-e-zar-o-gauhar pe khak dal ke rakh hum ahl-e-mehr-o-mohabbat hain dil nikal ke rakh hamein to apne samundar ki ret kafi hai tu apne chashma-e-be-faiz ko sambhaal ke rakh zara si der ka hai ye uruj-e-mal-o-manal abhi se zehn mein sab zawiye zawal ke rakh ye bar bar kinare pe kis ko dekhta hai bhanwar ke bich koi hausla uchhaal ke rakh na jaane kab tujhe jangal mein raat pad jae khud apni aag se shoala koi ujal ke rakh jawab aae na aae sawal utha to sahi phir is sawal mein pahlu nae sawal ke rakh teri bala se giroh-e-junun pe kya guzri tu apna daftar-e-sud-o-ziyan sambhaal ke rakh chhalak raha hai jo kashkol-e-arzu us mein kisi faqir ke qadmon ki khak dal ke rakh