sirf ek uske KHafa hone se

sirf ek us ke khafa hone se
mujh ko matlab na raha hone se

zindagi maut se mil pati nahin
bich mein ek khala hone se

sham bikhri hai mere dil ki tarah
teri zulfon ki hawa hone se

dil to yun rah pe aane ka nahin
chaar chhe din ki saza hone se

kya bigad jata hai tera mere yar
hum gharibon ka bhala hone se

ab bhi bandon mein chhupe baithe ho
kya mila tum ko khuda hone se

kaisi bharpur ibaadat ki hai
kuchh namazon ke qaza hone se

jagmaga uthta hai kamra sara
surat aaina-numa hone se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close