aarzu-e-aish-koshi ab to ek aazar hai

aarzu-e-aish-koshi ab to ek aazar hai
ghar ke bahar ghar ke andar har taraf bazar hai

muntazir hai ek sahil aur shikasta sa wajud
bich dariya mein khada hai aar hai na par hai

sar jhukaya jab bhi main ne wo pasheman ho gaya
haar meri jit hai aur jit us ki haar hai

badh gai us ki kashish jab dar qafas ke wa hue
chhod dena ab to us ko aur bhi dushwar hai

dub jaenge jazire kis ko is ki fikr hai
bas pighalti barf hai aur garmi-e-bazar hai

dirham-o-dinar se ab raushni hoti nahin
ghar ki chaukhat ke liye ghar ka diya darkar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close