sirf itne jurm par hangama hota jae hai tera diwana teri galiyon mein dekha jae hai aap kis kis ko bhala suli chadhate jaenge ab to sara shahr hi mansur banta jae hai dilbaron ke bhes mein phirte hain choron ke giroh jagte rahiyo ki in raaton mein luta jae hai tera mai-khana hai ya khairaat-khana saqiya is tarah milta hai baada jaise bakhsha jae hai mai-kasho aage badho tishna-labo aage badho apna haq manga nahin jata hai chhina jae hai maut aai aur tasawwur aap ka rukhsat hua jaise manzil tak koi rah-rau ko pahuncha jae hai