yunhi zalim ka raha raj agar ab ke baras ghair-mumkin hai rahe dosh pe sar ab ke baras jism boenge sitamgar anajon ki jagah aur faslon ki tarah katenge sar ab ke baras zehn se kaam lo aur mod do tufan ka rukh warna aansu mein hi bah jaenge ghar ab ke baras jaane kis waqt ajal aap ko lene aa jae sath hi rakhiyega saman-e-safar ab ke baras nakhl-e-hasrat ko na ashkon ki nami do warna aur mahkega gul-e-zakhm-e-jigar ab ke baras ab na ghabrao ki mitne ko hai zalim ka wajud khun-e-mazlum dikhaega asar ab ke baras