sisak rahe hain kai na-tawan se bahar qadam nikal kisi din makan se bahar kalam-e-yar ki tarif kis zaban se ho hai khush-bayani-e-jaanan bayan se bahar na hone mein hi hai lutf-e-dahan raho khamosh samajh ke baat nikalo zaban se bahar hamare sath hai paimana-e-dil ai khammar nikal shisha-o-saghar dukan se bahar karega charkh meri gor se bhi kaj-bazi koi zamin nahin aasman se bahar tumhaare ghar se agar nam lun nikalne ka nikal do mujhe sare jahan se bahar barae-jalwa kasif-o-latif yaksan hain na aap jism se bahar na jaan se bahar kiya mujhe samar-e-nakhl-e-ah ne mamnun wo barha nikal aae makan se bahar wo sher kya ki maani hon batn-e-shair mein ghalat ye hai rahe maghz ustukhwan se bahar asar talammuz-e-'nasikh' ka kyon na ho ai 'rashk' tamam tarz-e-sukhan hai bayan se bahar