rabta hai lab-e-jaanan se hamein kaam hai chashma-e-haiwan se hamein munh lagaya hai to aab-e-haiwan dijiye chah-e-zanakhdan se hamein dhup se bhi hai ziyaada parhez saya-e-daman-e-ehsan se hamein chashma-e-chashm kahan abr kahan bahs kya barish-o-baran se hamein ulfat-e-sar hai na afsar ka khayal kya ilaqa sar-o-saman se hamein na nikalega kabhi bakht-e-siyah zulmat-e-sham-e-ghariban se hamein chhut gai sohbat-e-jaanan ai 'rashk' ranj hai rabt-e-tan-o-jaan se hamein