sisakti zindagi ko zindagani kaun deta hai khizan ke baad phir se rut-suhani kaun deta hai meri aankhon mein sahraon ka manzar dekhne walo tah-e-sahra ye dariya ko rawani kaun deta hai nahin mujh se koi shikwa-gila to sach batao phir meri baaton ko rang-e-bad-gumani kaun deta hai shah-e-kanan ki chahat mein diwani misr ki malika usi malika ko phir daur-e-jawani kaun deta hai wahan par aab-o-gil se ruh ki tashkil hoti hai yahan la kar shuur-e-zindagani kaun deta hai mahak uthta har ek gosha-e-sher-o-sukhan tera 'sadaf' honton ko tere gul-fishani kaun deta hai