siskiyon ko daba ke roya hun

siskiyon ko daba ke roya hun
apne aansu chhupa ke roya hun

ranj-o-gham apne bebasi dil ki
apne rab ko bata ke roya hun

soch kar ye ki bah hi jae gham
aansuon mein sama ke roya hun

jis ko khone ka dar sa rahta tha
dekho us ko main pa ke roya hun

us ki khatir usi ko chhoda hai
us ko khushiyan dila ke roya hun

tera gham to hua nasib mujhe
chalo kuchh to kama ke roya hun

zakhm ek dil pe kha ke roya hun
waste bewafa ke roya hun

sau tarah ke sawal honge so
main bahana bana ke roya hun

bhari mahfil mein apni baaton se
baqi sab ko hansa ke roya hun

mujh ko dekho 'hadid' chehre par
muskurahat saja ke roya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close