aashna shakl na-ashna aadmi khud-farebi mein hai mubtala aadmi jaane kin kin inayat se tut kar jhelta hai shikast-e-ana aadmi kitna mushkil hai mardum-shanasi ka fan kitna ghayal tha wo maskhara aadmi kis se ahwal ki koi pursish kare daudta bhagta hadsa aadmi ek habab-e-rawan mauj-e-sayyal par hai magar kis qadar khud-numa aadmi yun talluq-shikan hai ye tahzib-e-nau ban gaya ek jazira-numa aadmi dhund lae the dair-o-haram se abhi phir kahan kho gaya sar-phira aadmi apne maslak ka wo aakhiri fard tha khoti duniya mein 'afzal' khara aadmi