sitam dekho ki jo khota nahin hai chalan mein bas wahi sikka nahin hai namak zakhmon pe ab malta nahin hai ye lagta hai wo ab mera nahin hai yahan par silsila hai aansuon ka diya ghar mein mere bujhta nahin hai yahi rishta hamein jode hue hai ki donon ka koi apna nahin hai nae din mein nae kirdar mein hun mera apna koi chehra nahin hai meri kya aarzu hai kya bataun mera dil mujh pe bhi khulta nahin hai mere hathon ke zakhmon ki badaulat teri rahon mein ek kanta nahin hai safar mein sath ho guzra zamana thakan ka phir pata chalta nahin hai mujhe shak hai teri maujudgi par tu dil mein hai mere ab ya nahin hai teri yaadon ko main ignore kar dun magar ye dil meri sunta nahin hai zara sa waqt do rishte ko 'kanha' ye dhaga to bahut uljha nahin hai