puchhte kya ho mere tum dil-e-diwane se ishq ke ramz ko puchho kisi farzane se ji nikal jawega zalim mera ab jaane se yan na aana hi bhala tha tere is aane se roz ke dukh se chhata raat ke jalne se raha dosti shama ne ki dosto parwane se dil baja lawega jo kuchh ise kije irshad ye to bahar nahin kuchh aap ke farmane se yun yakayak jo hue us ke jigar ke tukde nahin malum kaha zulf ne kya shane se zabt lazim hai jab hi tak ki na ho aankh mein ashk ab to bhar aaya hai dil ashk ke bhar aane se ro le dil khol ke tu is ghadi 'asif' apna nahin ghut jawega dam ashk ke pi jaane se