sitam-e-dost ka gila kya hai sanbhal ai dil tujhe kaha kya hai nigah-e-naz ko na do taklif dil mein ab yas ke siwa kya hai jis ko marne ki bhi umid na ho us ki hasrat ko puchhna kya hai yunhi anjam ban ke phir puchho mujh se tum mera muddaa kya hai samne hai wo jalwa-e-rangin ye fareb-e-nazar hai ya kya hai ji uthe ab bhi tum jo aa jao warna bimar mein raha kya hai