zaKHm kyon dil pe lagate ho jo bharne ke nahin

zakhm kyon dil pe lagate ho jo bharne ke nahin
mit gae naqsh wafa ke to ubharne ke nahin

hum ko us auj-e-sharaf tak hai rasai mushkil
aap us masnad-e-nakhwat se utarne ke nahin

aisa gulshan ki siyasat ne kiya hai paband
hum asiran-e-qafas aah bhi karne ke nahin

badh gai kakul-e-hasti ki pareshani aur
jaiye aap se gesu ye sanwarne ke nahin

kitne sailab-e-bala jhel chuke hain hum log
ab kisi shorish-e-amwaj se darne ke nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close