sitam-e-garmi-e-sahra mujhe malum na tha khushk ho jaega dariya mujhe malum na tha main ne samjha tha ki firdaus-e-barin hai duniya ek jahannum hai sarapa mujhe malum na tha chand danista haqaeq ki talab ki khatir zulm dhaega zamana mujhe malum na tha lahlaha uthta chaman meri umidon ka magar zard tha waqt ka chehra mujhe malum na tha dosti pyar khulus amn wafa ki khushbu ye hain alfaz-e-tamanna mujhe malum na tha barha jis ke qarib aa ke mila mujh ko sukun mera apna hi tha saya mujhe malum na tha ahd-e-tifli tha 'kamal' ahd-e-masarrat-agin gham ke sae mein palunga mujhe malum na tha