tumhaare shahr mein pahuncha tha khasta-jaan ban ke magar na aaya koi pesh meherban ban ke na jaane kaun se be-barg ped ka saya hamare sar pe musallat hai aasman ban ke main ghirne wala tha kanton ke darmiyan lekin gulon ne tham liya mujh ko karwan ban ke kahan chhupaenge mujh ko ye naqidan-e-adab main phail jaunga ghar ghar mein dastan ban ke bakenge shauq se bazar-e-jins mein yaro saje hue hain kitabon ki jo dukan ban ke unhin se puchhiye ab raaz-ha-e-kaun-o-makan jo ud rahe hain su-e-asman dhuan ban ke 'kamal' ranj-o-alam be-shumar hain lekin main ji raha hun zamane mein kaamran ban ke