sitam hai tere aashiq ke liye bimar ho jaana badi aafat hai dal ke hath se na-chaar ho jaana badal jaana nigahon ka to dekha par nahin dekha dil-e-ashiq se us ka tir ban kar par ho jaana nasihat se wo baz aata nahin tum baz aaoge pahunchna samne naseh ke jab sarshaar ho jaana kiya hai ashk-e-hasrat tu ne ruswa mujh ko mahfil mein kaha kis ne ki yun mere gale ka haar ho jaana akele mein tasawwur khub karna us sitam-gar ka lahad mein khwab-e-ghaflat se agar bedar ho jaana dil-e-pur-gham raqib ru-siyah dekhe nahin tujh ko gali mein us ki ja kar saya-e-diwar ho jaana nahin furqat gawara tair-e-dil tum ko dilbar ke pahunchte hi asir-e-gesu-e-kham-dar ho jaana khuda hafiz hai apna dekhiye kaisi guzarti hai badi mushkil hai rah-e-ishq ka dushwar ho jaana qadam-bosi mayassar ho kisi surat se us but ki 'jamila' baad-e-murdan khak-e-ku-e-yar ho jaana