zaban hai be-khabar aur be-zaban dil kahe kis tarah se raaz-e-nihan dil nahin duniya ko dildari ki aadat sunae kis ko apni dastan dil na puchho be-thikanon ka thikana wahin hum bhi the sargardan jahan dil kati hai zindagi sab ranj khate kahe kya umar bhar ki dastan dil hamein bhi thi kabhi milne ki lazzat hamara bhi kabhi tha naujawan dil na baz aaunga main ulfat se jab tak uthae jaega jaur-e-butan dil gham-e-ulfat gham-e-duniya gham-e-din uthae bar kya kya na-tawan dil samajh mein khak aae aql ki baat gae hosh-o-khirad aaya jahan dil unhen rahm aae to kya aae 'parwin' wo la-parwa hai mera be-zaban dil