sitam ho jae tamhid-e-karam aisa bhi hota hai mohabbat mein bata ai zabt-e-gham aisa bhi hota hai bhula deti hain sab ranj o alam hairaniyan meri teri tamkin-e-behad ki qasam aisa bhi hota hai jafa-e-yar ke shikwe na kar ai ranj-e-nakaami ummid o yas donon hon baham aisa bhi hota hai mere pas-e-wafa ki bad-gumani hai ba-ja tum se kahin be-wajh izhaar-e-karam aisa bhi hota hai teri dildariyon se surat-e-beganagi nikli khushi aisi bhi hoti hai alam aisa bhi hota hai waqar-e-sabr khoya girya-ha-e-be-qarari ne kahin ai e'tibar-e-chashm-e-nam aisa bhi hota hai ba-dawa-e-wafa kyun shikwa-sanj-e-jaur hai 'hasrat' dayar-e-shauq mein ai mahw-e-gham aisa bhi hota hai